Tuesday, September 1, 2015

Ek kavita by kumar vijay












Sooraj
Aasman par panv Rakhta
chhitij ke paar chala gaya
Aaj Poonam ki RAAT HAI
Sooraj ki bashi roshni men
Bhookhe Bachchon ka khilauna bankar
Chand ko ek poori Rat
Lal Tawe Sa Jalna Hoga
Panse ke khel men Fansi Auraten 
Theek aadhi rat men
Apni nath ki 
bandishen Todkar
Duniya ko jitne Ka 
dambh Bharengi
Vadan par sarsarate gidhon ke Daino ki sarsaraht 
Jab thamegi 
Sheyar Bazar ke Unghte Dalal
Muskura Ke Kahenge
Bahut bada Tha 
Samudr Ka Jwar-Bhata
phir bhi Hamne Chand Benchkar Aasman Khareed Liya.

Kumar Vijay

No comments:

Post a Comment